|
KUCHH MAT KAHO!!!
KUCHH MAT KAHO!!! Kuchh mat kaho pyaar mein chup raho… Tumhari palak jhukte hi hawa jaan jayegi Dil ka haal aur Uthte hi nigaah duniya saari thehar jayegi Kuchh mat kaho pyaar mein chup raho….
Jaise hi kaapenge honth tufaan aa jaayega Saagar bhar lega baahon mein bichhi hue ret ke Chumenge hazaar hazaar khitiz, Laheron ki bahon ke kasaav kabhi dheele nahi honge Dil mein koi hook se uthegi Chand tarron wali raat jagti aankhon mein sapne laayegi Kuchh mat kaho pyaar mein chup raho……
Behne do khushboo raat-raani ki.. Tufaan aa jayega pighalne lagega lava jism mein Sahasa waqt tham jayega Sunai dene lagegi phir saanso ki aahat Lauta na le wo kahin sapno ko Isliye chup raho pyaar mein Kuchh bhi mat kaho…….
|
|